Baazi



Chalo, ab maan hi lete hain

Hum haar. Yeh baazi hum haar gaye. 

Patte khol do apne aur le jao inaam. 

Waise bhi toote huve tukdon 

Ka karein bhi hum kya? 

Tum hi rakh lo inhein. 

Kissi darwaze par tang dena. 

Toote hain par, rang birange bhi to hain. 

Jab sanjh ki kirne dubki lagayengi inmein, 

To har rang ke aansun dikhenge. 


Dekho, mujhe harne ka apsos nahin. 

Aisi koi baazi nahin jo maine jeeti hai. 

Hamesha se hi harti rahi hoon. 

Bahut logon ke saath baithi, 

Socha kabhi to kuch jeet paungi. 

Par aisa kabhi hua hi nahin. 

Pata hai kyun? Kyunki maine hamesha

Se hi jaan bujh kar haar maan li. 

Khiladi to hum bhi shatir hain, 

Ek baar agar hamari zabaan khul gayee, 

To tum to ro hi padoge. 

Par main aisa nahin karungi. 

Pyaar ke liye haarne mein 

Alag saa hi mazaa hai. 


Agar main haar loon, 

To tum kaunsa jeet jaoge? 

Phir bhi, maan leti hoon, 

Le jao sab kuch; din raat, 

Aaj kal, chand suraj, 

Hamari aankhein, gale ki taawiz, 

Ek plate, takiya, baksa, 

Joote, muskurahat, sapne, 

Ungliyon ke nakhun, 

Badaal, khirki, pathar aur kitabein. 

Sab tumhara, jeet gaye tum. 

Ab chale jao yahaan se. 

Kabhi na aana wapis, 

Kyunki agli baazi lagane ke liye

Mere paas ab kuch bhi nahin rakha hai. 

Aur agar tumhare saath nahin, 

To mujhe khelne ka koi luft bhi nahin. 

Jao, aur apni jeet apne saath lete jaana. 







Comments

Popular posts from this blog

A Decade Later

The Story of K (contd.)

Bringing It Back