Jaanti hoon main...

1.

Pyaar to bahut tha tumse, 

Par tum ruke hi kahan? 

Tum to chalte hi gaye,

Aur hum ruk ruk kar thaak gaye. 

Ab kahan se wapis jaana hai, 

Humein nahin pata. 

Na aage ka koi raasta,

Na peeche ka kuch pata. 

Khade hain yahan,

Baarishon ki chhanv mein. 

Koi hamein bhi bataye,

Ki kal ka mausam kaisa hoga? 


2.

Koyle ki angeethi par

Hath rakh ke bhi dekh liya. 

Raaton ki khamoshi mein

Intezaar kar ke bhi dekh liya. 

Woh aag bhi aisi thi tumhari

Jalaa kar rakh kar gayi. 

Ab aaoge kabhi waapis

To sirf simte hue shabd milenge. 


3.

Yaad aati nahin tumhari mujhe, 

Yaadon ke bhi naam hote hain. 

Kissi vishwas ke bharose, 

Na ishq ke makaam hote hain. 

Naam kya hai tumhara, 

Kash yeh bhi bhool jayein. 

Par kambakht naam hi to tha, 

Woh bhi kabhi apne

Hoton se ek baar bhi tum

Gustakhi kar ke le na paye. 


4.

Tum mangte to hum tumhe

Apne saare raaz de dete. 

Na tumne kabhi aankh milayi, 

Na humne kabhi raaz chhupaye. 

Itna chhup kar karoge kya? 

Tumhare raaz jaan kar bhi hum, 

Na chhup paye, na keh paye, 

Ki har hawa ki cheekh main, 

Tumhare raaz hi to humein sabse bhaye. 


5.

Kyon aate ho tum har raat ko, 

Mujhe dhoondte hue kahin? 

Ek minute rukte ho phir, 

Gaayab ho jate ho kahin.

Kya tumhe pata hai phir bhi, 

Har raat wahi tamaasha hai? 

Na tum kuch kahoge yeh jaan kar bhi, 

Har raat tumhara sannata

Meri neend udata hai. 

Comments

Popular posts from this blog

A Decade Later

The Story of K (contd.)

Bringing It Back