Aise din



Aise bhi din aate hain. 

Jisse rukna hota hai

Woh toot kar bhi ruk jaata hai. 

Jisse jaana hota hai, 

Woh ruk kar bhi chala jata hai. 


Jisse kuch pahna hota hai, 

Woh leh kar bhi khali reh jata hai. 

Jisse dena hota hai, 

Woh de kar bhi bhar jata hai. 


Jisse ishwar ne mazboot rakha ho, 

Woh roh kar bhi hass deta hai.

Jisse ishwar ne kagaz sa banaya ho, 

Woh kalam ki kharoch si bhi galich ho jata hai. 


Jisse pyaar khud se na ho, 

Woh doosron ko kuch nahin dega kabhi. 

Jisse pyaar doosron se bahut ho, 

Woh khud ko bhi baich dega kabhi. 


Aise bhi din aate hain. 

Hum dekhte rehte hain, 

Aur saamne hamare ek pankti

Ki tarah sab ek ek shoonya hote hue

Kohre ki taraf chale jaate hain. 


Comments

Popular posts from this blog

A Decade Later

The Story of K (contd.)

Bringing It Back