Kuch to kaho


Kuch to kaho, 

Kabhi, kahin, kissi se. 

Iss khamoshi se mohabbat

Na ho jaye tumhe kahin. 

Aur ho gayi to phir, 

Mujhse kya kahoge? 

Kayi saal beet gaye abhi, 

Tumhari khamoshi chah kar. 

Aisa nahin hai ki mujhe 

Tumhari tanhai kaat ti hai. 

Tum kuch kahon ya nahin, 

Sun leti hoon sab kuch main. 

Bas, tumhari awaaz yaad aati hai. 


Kya maine tumhe kabhi bataya, 

Ki mujhe tum kyun itna bhaate ho? 

Bahut socha maine, par koi jawaab

Samajh main hi nahin aaya. 

Tumhari aankhen mujhe bahut pasand hain, 

Aur tumhari muskaan, jo aaj kal

Kaafi kam ubhar kar aati hai, 

Woh mere har purane zakhm ko sehla kar, 

Mujhe phir se mujhse milati hai. 


Phir bhi, waise to mujhe tumhara

Sab kuch hi bhaa jata hai. 

Par tumhare andekhe panne, 

Moh kar bula lete hain meri kalam ko. 

Issi liye to binti kar rahi hoon, 

Kuch to kaho,

Kabhi, kahin, kissi se nahin, 

Sirf mujhse, main hi to hoon tumhari. 


Phir se ek kavita likh sakun, 

Tumhare baare main. 

Aashiq to kayi the pehle mere, 

Par mujhe aashiqi nahin aati thi. 

Ab bhakti aur vairagya,

Dono hi sikha diya tum ne. 

Kissi paraye ko apna maan lena, 

Phir unse kuch nahin mangna, 

Yeh tarqeeb to tumne hi batayi mujhe. 


Bas ek cheez ki kamin hai, 

Tumhare shabd mujh se mil jayein, 

To ek poori kitaab likh sakte hain hum dono. 

Mujhe pata hai ki tumhe bhi

Meri tarah shabd ke jhoole, 

Har nayi jageh bulate hain. 


Issi liye kehti hoon, 

Ek baar, 

Kuch to kaho, 

Abhi, yahin, 

Mujhi se. 

Kuch to kaho. 



Comments

Popular posts from this blog

A Decade Later

Bringing It Back

The Story of K (contd.)